Ek Shaam, Ek Chai, Aur Chandni Chowk
- by chai premi
Aaj ka Mausam bohot khushnuma hai, aur dheemi-dheemi hawayein chal rahi hain. Aur in hawao ke beech main ye blog aapke liye likh raha hu…
Mujhe aasha hai ki agar aap is page tak aaye ho, to jarur aap chai ke shaukeen honge. Aur apni pehli pasand chai ko samajhte honge…
Kyuki sukh-dukh, mann ke ghaav, aksar ek cup chai se nikal jaate hain.
Kisi ko apne ko yaad karna ho,
kisi ke saath nayi yaadein banani ho…
Chai ek aisi cheez hai jo sabki yaadon ko bator kar ek karti hai.
Chandni Chowk ka Safar
To aisi hi kisi shaam ko… agar tumhe chai ka anand lena ho,
to ek baar Chandni Chowk aajanaa.
Yaha waqt thoda piche chalta hai…
Yaha ki yaadein, yaha ka mausam, yaha ke log – sab mein tumhe ek apnapan lagega.
Ye wo jagah hai jaha har koi apne ko jaanne aata hai…
Koi khud ke liye kuch lene aata hai…
Koi kisi ko kuch dilane aata hai....
To koi shaadi ke baad pehli baar yaha ghumane aata hai…
Tang Galiyan, Zayke aur Log
Yaha har kisam ke logo se tumhara parichay hoga.
Aur parichay ke saath-saath tumhe mehsoos hongi yaha ki tang galiyan.
Tang galiyan maano kuch khud se kehna chaahti ho…
Tang galiyan jinme aage kya hai, kuch pata nahi, par jaane ka mann apne aap karta hai.
Kahin choti galiyon mein khaane ke zayke dikhenge,
to kahin choti dukaane mein baithe log milenge.
Aur milte-milte tum kahan se kahan tak chale jaoge…
ye samajhna tumhara aur mera dono ka mushkil hai.
Ehsaas aur Rickshaw
Ek ehsaas… ek pyaar ka, jo tumhe hoga ek baar yaha aane ke baad.
Yaha ki manmohak khushboo…
yaha ki yaadein…
aur vo film theatre yaad hai naa chandni chowk ka jha Heer-JJ ko picture dikhane laayi thi.
Yaha chalte purane rickshaw jinme baithkar tumhara waqt thodi der ke liye theher sa jaata hai…
Aur kahi ek nazar ghumao to dikhegi ek jagmagati gali, jisme jaakar tumhe barsaat mein Diwali ka ehsaas hoga.
Aur Phir… Vo chai ki dukaan..
Aise hi ghoomte-ghumate bina thake…
tum pohonchoge vo chai ki dukaan par.
Vo dukaan jiska apna koi naam, koi pehchaan nahi…
Pehchaan hai uspar kaam karne wale logo se, aur us par aane wale logo se.
“Kehte hai na… zindagi ke kuch pal jeene hain to ek baar jao...
Chai ki dukaan nahi, vo pyaar hai…
Chai nahi, vo nasha hai…
Chai nahi, vo prem hai…
Vo ek chai ki dukaan nahi, vo ek pal ka sapna hai.”
Chai ka Safar
Purani deewaron se latpat vo dukaan…
jinko purani almaariyon ne saja rakha hai.
Bahar baitha ek shaks, halki aanch par paani rakhta hai,
chai mein apni dukaan ki chai patti dalta hai…
Haule-haule adrak kootne ki awaaz mann mein chai ke liye utsukta paida karti hai.
Aur phir chai ka aana…
badi se lakdi ki challi se chaan kar, patli nok ke kaanch ke glass mein dalna…
upar doodh ki halki malai…
Aur jab vo tumhe deta hai…
samajh jao, ye chai nahi, ye pyaar hai, ek nasha hai.
Waha Ka Manzar
Tum jab dekhoge khud ko vaha baitha hua…
tumhe khud se zyada aur log dikhai denge:
Koi purane poshak mein baitha akhbaar padh raha hai…
Do buzurg apni jawani yaad kar rahe hain…
Koi chai mein halka sa rusk daal kar kha raha hai…
To koi apni 1960 ki notebook mein apni tik-tik wali pen se kuch likh raha hai…
Aur tabhi tumhe lagega — mann hua na jaane ka?
Jab tum apne sambhandi, premi, parivarjan, ya meri tarah akele hi jaoge…
to ek baar zarur jaana.
Yaad karoge vo chai, vo pal, vo sab…
📍 Location ke liye email karein
- Dhanyewaad padhne ke liye..